न्यूज़ चैनल ३६५ दिन का सीईओ के खिलाफ खुला पत्र , कितने त्रस्त है मीडियाकर्मी

बहुत दिनों से पोद्दार ग्रुप का न्यूज़ चैनल ३६५ दिन के सीईओ से वहां के स्टाफ त्रस्त रहे हैं.आज बल्कि अभी-अभी लुमर को एक मेल आया जिसमे जिक्र है उन पत्रकारों की शोषण की कहानी जिसे वहां का सीईओ लगातार शोषित करता रहा है । दर्जनों क्रिमिनल केस के बल पर न्यूज़ चैनेल चलाने वाले सीईओ के खिलाफ लगभग १०२ एम्प्लोयी कलकत्ता के प्रसिद्ध बिजिनेसमैन तथा चैनेल के चेयरमैन अरुण पोद्दार के पास पहुच रहे हैं । पेश है खुला पत्र जो मुझे मिला --- 27-02-2009


To,

Shri Arun Poddar,
Chairman
=============


Respected Sir,

Aapne Raanchi men ek kutta paala tha. Bare pyar se aapne use threptin biscuit, calcium aur multivitamin kee golian khilain. Magar shyad aap use rabeez ka injection lagwana bhool gaye. Aaj vo kutta pagal ho chuka hai. Ab tak vo kutta saikron logon ko kaat chuka hai. Har roz voh 4-5 logon ko kaat leta hai. Raat-din bevajah bhaunkta rehta hai. kabhi bhi kisi ke bhi piche daur jaata hai. Lagta hai ke ye pagal kutta apne malik ke kaabu ke bhi bahar ho chuka hai. Ranchi men kahar dha raha hai. Hum logon ne abhi tak usse kuch naheen kaha hai. Kyonki voh aapka kutta hai aur 365 Din parivar ke sabhi sadasya aapko gurdian maante hain aur aapki kitni izzat karten hain, yeh aap abhi tak nahin samajh saken hain.

Usne jo kuch kiya aur jo kar raha hai, usse yahan dohrane kee zaroorat nahin hai. Aapko, humko, samuche nedia jagat, balki saari dunia ko yeh maalum hai.Hum sabhi logh sirf ek bar aapke darshan karke aapko yeh batana chaahate hain ki kis terah Poddar Group ka naam sun kar hammen se bahut se log pehle se established channels, akhbaar chor kar, koi dilli se ,koi patna aur na jane kahan-kahan se acchi bhali naukri chor kar apne beevi-bacchon aur boorhe maan-baap ke saath Raanchi shift hua. Bina weekly off liye 18-18 ghante mehnat kiya. Aur isne sabhi ko zaleel kiya, gaali-galauj ki aur naukri se bina karan nikal diya. Kuch ke saath to isne aur iske parivar ke gundon ne maar-peet kee, jhoote case bana kar jail tak bhej diya.

Hum aapse apni naukri vaapas nahin maang rahe hain. Na hee hum unionbaaji kar rahe hain.Voh sub karna hota to kabka kar chuke hote aur Ranchi men kisi bhi keemat par channel naheen chal sakta tha. Aaise CEO ke saath koi izzatdar aadmi kaam kar bhi naheen sakta hai. Hum sirf aapko apni aapbeeti sunana chhaahte hain. Baki faisla hum aap par chor denge.

Iske liye hum sabhi 102 log 04 March,2009 ko dopahar 12 baje Kolkata mein aapke darwaze per pahunch rahe hain.Agar aap vyast honge yaa Kolkata se baahar honge to hum sub bhukhe-pyaase aapke darwaze per tab tak baithe rahenge jab tak ki aapko hamare liye 15 minute ka samaye naheen mil jata.

Agar aap humse yeh kah denge ki voh pagal kutta aapke kabu mein naheen hai to bhi chinta kee koi baat naheen hai.Hum aise pagal kutton se acchi terah nibatna jaante hain. Hum use pakar kar nagar nigam ke jalidaar truk mein band karwa denge. Munispality usse nibat legi.

22-02-09 ko H.O. se Shri Sanjay Rai aur Sachiddanand ji aaye the to houe ka ek-ek aadmi unse apni baat kehna chaahta tha. Magar un logon ne CEO ke saath mil kar ulte hamhi ko dhamka diya aur CEO ke saamne hee sabse poocha ki kisi ko koi shikayat to naheen hai. Isse hum sabhi ko kaafi dukh hua.

Agar hum sabhi ko 4 March ko Kolkata se bhee nyay naheen mila to bhee hum nirash naheen honge. Kyonki tab hum vaapas aa kar sabse pehle to iss pagal kutte ko munispality ke jaalidaar truck mein band karayenge. Vaise bhi iske uper kai sangeen mukadamen hain jinmen rape, scrap ki chori, maar-peet, gundagardi aadi shaamil hain. Ye saari filen hum ikattha kar chuke hain. Itna hee naheen channel ke karmachariyon ke saath dhookhadhari ke 17 maalen bhee hain jinme se kai non-bailable offence hain. Use chahen to hum aaz aur isi samay band kara sakten hain. Lekin hum naheen chahte kee Poddar Group ke ek CEO ko Police daftar se ghaseet kar, chappal maarte hue hathkariyon me paidal le jaye. Jin logon ke khilaaf isne news chala kar ya sirf promo chala kar blackmailing kee koshish kee hai unmein se bhi 5 logon kee likhit shikayaten ( saboot sahit ) hamare paas hain.Jo hum police ko saunp denge. Iske baad hum Ranchi mein Raajbhavan ke gate per aamaran anshan per baith jayange aur tab tak baithe rahenge jab tak ki sarkar iss pagal kutte to pakar naheen legi.

Yeh kaam bhee pura karne ke baad hum 4 groups mein bant jayange aur Delhi, Kolkata, Ranchi aur Patna mein sarakon per aluminium ka katora le kar bheekh mangenge. Bheekh maangne aur 365 din ka logo gale mein tangne ka hak hamse koi naheen cheen sakta kyonki 365 Din hee hamen aur hamare parivar ko sarak per laya hai. Hum tab tak bheekh mangte rahenge jab tak kee hamen aapkee taraf se nyay naheen mil jata. Chahe ismen 10 din lage athwa 10 saal, uskee hamen koi parwah naheen.

Respected Sir, yeh naubat isliye aa gaye hai kee ab paap kaaa ghara poori terah bhar chuka hai.Isne saikron logon kaa apman kiya hai. Maatra 3-4 udaharan hum aapko bata rahen hain. wisal Azim ETV kee well established naukri choor kar bari ummeedon ke saath Poddar Group ke channel mein aaye the,isi terah Asit Nath Mahua TV se , darzanon anya senior journalists bhee acche jagahon se aaye thhe. Magar sabhi ko isne buri terah zaleel kiya aur nikal diya. Veh bhee bina kisi karan. Aakash Bhargav namak ek city reporter kee galati sirf ye thee kee usne apni baat direct Kolkata pahunchane ke zurrat kee thee. Use khud CEO aur parivar ke gundoon ne lohe kee rod se buri terah maara aur jhoota case banwa kar jail bhegwa diya.Lokesh sir jaise jane-mane senior patrakar ko unhone sirf isliye terminate kar diya kee 22-02-09 ko H.O. se aaye Sanjay ji aur Sachiddanand se unhoane channel ke liye line-of-action discuss kiya tha aur voh aapki table per tha aur use aapki approval milti, uske pehle hee phone per terminate kar diya. Lokesh Sir hamesha CEO ko yeh kahte the kee Dilli, Jharkhand aur Bihar mein voh na sirf bina investment ke channel air karwa denge balki 30 se 40 lakh tak ka ad revenue bhi dilwa denge. Magar unhen kuch karne kee izazat nahin dee gayee.Yadi Lokesh sir naheen hote to 365 Din 12 december to kya aaz tak launch naheen ho paata. Unhoane aise samaye mein channel launch karaya tha jab lease line, MCR, PCR kee baat to door studio tak naheen tayaar tha aur house mein ek-ek aadmi ne haath khare kar diye the. Lokesh sir jab june 2008 mein aaye the to yahan ek bhi story edit naheen hoti thee. Unhoane hee saara system khara kiya aur 4 maheene mein 1700 stories kaa buffer stock khara kar diya. Lokesh sir baar-baar system banate the aur CEO baar-baar use dhwast karte the. Ek taraf CEO ne na jane kitne logon ko iss baat ke liye nikaal diya kee vo ad naheen laane ko tayaar the , doosri taraf jab Lokesh Sir unhe kahte the kee jitna ad chahiye hum arrange karten hain to vo ignore kar jaate the. Unhen dar tha kee kaheen unkee asliyat sabko na pata chal jaye.In saare haalat aur CEO aur unke gundon se khatra dekh kar Jharkhand Police ne Lokesh sir aur unke parivar ko security dey dee hai aur Lokesh sir kisi se darne vaale naheen hain.

Aapse milne aa rahe 102 logon men Ranchi se aise 32 log hain jo nikale jaa chuke hain, iss samay kaam kar rahe 23 log hain, Patna se 7, Dilli se 4, Raipur se 7, Bihar ke 17 field reporters aur Jharkhand ke 12 field reporters shamil hain.

Sir, aapne zaroor pichle janmon men kaafi punya kamaya hoga jo aapko aisi dedicated teem mili thee jo channel ko no.1 banane ke liye jaan dene tak ko taiyaar thee. Magar Jainasur ne sab kuch khatm kar diya aur poddar group per kaleekh poat dee. Vaise abhee bhee jyada der naheen hui hai. Aap hamare gurdian hain . Apne bacchon per poora bharosa rakhiye aur sirf 3 maheene ke liye channel hum per chod deejiye. Lokesh Sir ke netritva mein hum sirf 3 maheenen men vo kar dikhayange jo media jagat mein ek ittihas ban jayega.

Aapke aashirvad ke abhilashi,

365 Din parivar ke hum 102 sadayasya

4 comments:

  1. पत्र को भड़ास तक लाने के लिये धन्यवाद देता हूं, मुखौटाधारियों का असली चेहरा सामने लाना भड़ास का एक मुहिम है; जो कुछ पंगा-पुंगा होगा देखेंगे...एकजुटता में बड़ी ताकत होती है
    इस बार आपने बिना भौंके ही काट लिया चलिये हम भौंक देते हैं भौं-भौं-भौं.... फ़ालोअप दीजियेगा इस पत्र के आगे... प्रतीक्षा रहेगी।
    जय जय भड़ास

    ReplyDelete
  2. dear rupesh jee,
    namskar
    vinti ke sath ki kya ham apani bat bina gali diye nahi kah sakte!mai bhi kai jagho se thaga gaya hoo ,par ilm nahi hota ki thaga gaya hoo,ha yah jarur dhyan rakhata hoo ki mai kisi ko na thagu.... .. mujhe apka comment ka intjar tha aur apekshit sahyog ka aashwasan milana un sangharshshil patrakaro ko bahut hi takat dega.thanks.

    ReplyDelete
  3. भाईसाहब यकीन मानिये कि डा.साहब का सधुक्कड़ी अंदाज कभी भी अभद्र भाषा का पक्षधर नहीं रहा है लेकिन जब बीमारी में सर्जरी की जरूरत हो तो काट-पीट को हिंसा नहीं कहते हैं। गालियां और गोलियां अपनी जगह उपयोगी हैं लेकिन व्यक्ति यदि अधिकतम लोगों के हित के लिये इन्हें प्रयोग करे तो ही बेहतरी हैं वरना तो ये मात्र एक हल्का सा सामान बन कर रह जाता है। भड़ास पर गालियों का बस आरोप ही है लेकिन क्या कोई भी कह सकता है कि किसी भी सभ्य सज्जन को अकारण किसी भड़ासी ने गालियां दी हो,आप स्वयं पिछले दिनों प्रशांत नामक एक भाई से चलते रहे एक विमर्श को देख कर समझ सकते हैं कि डा.साहब कभी बिना कारण कठोर भाषा प्रयोग नहीं करते हैं। ठगना बुरा है ठगे जानें में बुराई नहीं है और सबसे ज्यादा आनंद तो सब जान कर भी ठगे जाने में है.....। हर स्तर पर सहयोग सारे भड़ास परिवार की ओर से उन नये पत्रकारों को है बस पत्रकारिता के उच्च आदर्शों को बनाए रखें...। यदि सब एकजुट रहें तो हितकर होगा।
    जय जय भड़ास

    ReplyDelete
  4. बुराइयों के विरोध में जुटे रहो भड़ासियो.....
    जय जय भड़ास

    ReplyDelete